Woh roz meri gali mein dabe paon chala aata hai..
Uska chupke se aana logon ko nahi bhaata hai..
Uski neeyat toh bas do tukde roti ki hoti hai..
Phir kyun har koi usko door bhaga jaata hai?
Woh roz meri gali mein dabe paon chala aata hai..
Uski aankhon ka darr meri rooh qatal karta hai..
Uska darr se yun ladkhadaana..dil mein hulchul karta hai..
Main haath mein apne roti le jo usko paas bulaun..
Woh dheere dheere meri or do kadam chalta hai..
Phir uske uljhe baalon mein jab haath main apna pherun..
Woh chaat ke mere haath apna pyaar jata jaata hai..
Woh roz meri gali mein dabe paon chala aata hai..
Uske jaise jaane kitne gaadiyon ke neeche dabte hain..
Uske jaise kitne roz bhookhe pyaase marte hain..
Uski toh do gaj zameen bhi naseeb nahi hoti hai..
laash ke tukde usko jaison ke naalon mein sadte hain..
Garmi ho ya sardi ho...Usko naa raaha milti..
Phir jaane kyun sab "Every dog has his day" karte hain..
Woh bhola hai...itna pitne ke baad bhi...bharosa woh dikhata hai..
Woh roz meri gali mein dabe paon chala aata hai..
Hum insaan hain par insaan jaisa gun na hum mein koi..
Khud ko buddhijeev kehte hain par sharm na hum mein koi..
Hum toh apne bachon ka hi sauda kar dete hain..
Dharm ke naam pe roz rakshas paida kar dete hain..
Phir kutta kis khet ki mooli hai..woh toh roz hi chadhta sooli hai..
Hum daya bhaav sirf panditon ke kehne pe hi dikhate hain..
bas woh hi hai..jo bina swarth ke saath hamesha nibhata ha..
Woh roz meri gali mein dabe paon chala aata hai..!
**यह मेरी रचना नही हैं किसी ने SM पर मुझको fwd की थी, मुझे यह इतनी अच्छी लगी की आप सब से साझा करने से खुद को ना रोक सकी**
बस एक बात कहना चाहती हूँ कि हम लोग इंसान हैं तो हमको इंसानियत दिखानी चाहिए फिर क्यों हम इंसानियत की जगह हैवानियत दिखाते हैं....